Saturday, October 31, 2009

bas thodi duur aur.....

Rishton ka dhaaga kuch aisey toot raha tha,
maano raat say chandani ka saath choot raha tha,
ashk bhari aankhen kar rahi thi nayi subah ka inteezar,
woh ashk tho sookh gaye par raat thi barkarar...

kya in dhaagon ko phir jod paaonga sochtha hoon main,
par phir bikhri zindagiyon ko sametana chahta hoon main,
teri zindagi kay khoye hue lamhon ko lauta nahin sakta main,
par teri in tanhaiyon ko duur karna chahta hoon main.... 

bas ab aur is jeevan say na-ummeed na hona tum,
bas thodi duur aur mera bina chal lena tum,
us naye savere ka aagaz ho raha hain dekho,
aaney wali nayi zindagi ki kadmon ki aahat tho suno,
tumhara aaj tumhare kal ko dekh kar khush ho raha hain, 
kyonki woh un haseen rishton ko phir judta dekh raha hain... 

No comments:

Post a Comment