Thursday, August 27, 2009

A train of thought...

A train of thought leaves the mind,
with hope and faith left behind,
Says Dont fear the pain or the grind,
the castle of my dreams I shall surely find..

Monday, August 24, 2009

Waqt ki meherbaani..

Dost zyaada duur nahin, bas do kadam aagey hain tumse,
teri ek pukaar par haazir honge, itna bharosa rakho humse,
Yeh sochna nahin, ki koi farak hain hummay aur tummay,
yeh tho kambakht waqt ka khel hain, jo meherbaan ho gaya pehle humpay..

Talaash...

In andhero may kabse chala ja raha hoon,
apni parchaiyan bhi nahi dhoond pa raha hoon,
Thi mujhe bas roshni ki ek kiran ki talaash,
par jugnuon say kaam chala raha hoon....

Thursday, August 20, 2009

aapki aur meri kahani..

Hain yeh ek aam aadmi ki kahani,
thodi jaani, thodi pechaani,
zindagi ki jung ladney ki thi jisney thaani,
hain yeh shayad humarey tumharey jeevan ki kahani ...

Parivar nay dekhey they uskey liye kayi sapney,
Usey laga uski dil ki baat jantey they apney...
yehi soch kar aagey badtey rahey uskey kadam,
aur uski icchayen ghut kar marti rahin hardam..

Doosron key sapno ko apna man liya jisney,
kuch karkey dikhana hain yeh thaan liya usney..
Woh janta tha bahut kuch peeche choot raha tha,
kisi ki mohabbat aur doston say naata toot raha tha,
apna seena thok ek wada kar liya tha jisney,
"hamesha jeetna hain mujhey" thaan liya tha usney...

phir aisi lagayi usney mehnat ki chadi,
safalta bhi uski parchai ban hui khadi,
hamesha aagey rehna aadat ban gayi uski,
kyonki haar manna fidrat nahi thi uski...

aisey kayi padhav aaya jeevan may,
jab asafalta gehri chot kar gayi mashtisk may,
Kamzor padh raha tha hausla, toot rahi thi himmat,
na jaaney kya khel, khel rahi thi uski kismat..

aakhir sangharsh uska khatam hua ek din,
katinaiyon bharey safar ki manzil mili jis din,
ab shuru honey wali thi uski sapno ki udaan,
aakhir rang laye they uskey anek balidaan..

aaj aasman may uncha ud raha hain woh,
par saahil par dharti say naata jodey hain woh...

Shayad jo kuch woh chatha tha, sab nahin paya hain usney,
par apney aap say kiya har wada nibhaya hain usney...
Kabhi doosron aur Kabhi khud kay liye jiya hain usney,
Kabhi Dil aur kabhi Dimaag say salah lee hain usney,
Ek hum jaisey albele mastaney ki thi yeh kahani
thodi jaani, thodi pechaani...