Monday, June 29, 2009

Ek Safar ki Kahani... DoCC :)

Tha woh ek naya shaher, karni thi hamey ek nayi baat,
Dartey they kya kuch haasil kar payangey wahan,
logon kay dilon may apna nishaan chod payangey kahan...

Baarish ki boondon nay kiya humara wahan swagat,
Socha humney, Ishwar ka ashirwaad hain yeh..
Kuch hi dino may hakeekat ka hua ehsaas,
lagney laha ek namumkin sa pahaad hain yeh...

Phir kuch din kay liye bhool kaam, hum mast ho gaye,
Un haseen vadiyon kay aanchal may gum ho gaye,
Baarish may dhuley pahadon ki sawari ki humney,
Thandi hawa kay jhonkon say thodi baat ki humney,
Badalon nay jab galey lagay dharti ko,
hum unmay khel rahe they,
Bhool khud ko is nayi jannat may phir jee rahe they...

Janaat tho vahin raha par hum hosh may aa gaye...
In kuch haseen dino kay baad ek naye josh may aa gaye...
Hum yahan kuch kar sakte hain ehsaas ho gaya humein
Apni kabiliyat par phirsey vishwaas ho gaya humein...

Jo Safar humney chuna tha, kathin tha magar...
Ek doosre par vishwas say tiki rahi manzil par nazar...
Jo hum chahtey they, woh haasil kar liya humney
Ek nayi shuruvaad ka agaaz kar diya humney...

Badlav ka pahiya tez ghoom raha hain ab,
Dua karte hain sab theek ho jayen wahan ab...
Jitna humney unhe diya, ussey kahin zyaada paaya hain,
Unkey Pyaar aur adar ka anmol thofa
apney sar ankon par lagay hain..

Sunday, June 28, 2009

Badal gaya main :)

Main bahut badal gaya hoon kehte hain sab
har naye andaaz par hairaan hotey hain sab
Poochte hain mujhse, kaun hain badlav ka kaaran
aur haskar karte hain meri purani aadaton ka varnan...

Yeh sab sunkar ek sawaal uththa hain dil may mere
main sach main badal gaya hoon ya sabki aankhon ka dokha hain
Jawaab dhoond raha tha ki, Dil machal kay bola

"dost badal tho tum gaye ho
lagta hain markar phir jee uthey ho
Ek nayi zindagi day di mujhe tumney
kisi kaaran ki zaroorat nahi hain jisey
bas itni si hain guzarish tumsey
kisi ki khatir apney aap ko na badalna
khud ko pehchaan na pao, aisa koi kaam na karna"

Tuesday, June 23, 2009

Mera Aks..

Jin lamhon ko khaas banatey ho tum,
Un lamhon ko kavita banata hoon main,
Yun jo mujhsey rooth jaatey ho tum
Meri in kavitaon ka aks ban jaatey ho tum!!!

Dost ka Janamdin...

Nadi Ki raftar see tez yeh zindagi
Aaj thumna chahti hain,
Kuch pal kay liye rukk kar
In hawaon say kuch kehna chahti hain...

Mere dost ka janamdin hain aaj,
tum usmay shaamil ho jao,
Suraj ki kirano kay saath phulon ki khushbo lay jaao,
Khubsoorat banado uska is din ko
Aur lautthey huey uski khushi ki ek jhalak ley aao...

Yeh Safar...

Kuch dino pehle shuru hua tha jo
woh suhana safar khatam honey ko hain
Safar hum naye kar lenge magar
Par tera saath kahan milega yeh dukh hain humey!!!

Kyon kho gaye tum

Dhoond raha hoon tuhje apni tanhaiyon mein,
Kahan Kho gaya ho tum in galiyaaron mein,
Itni duur kyon chaley gayey ho mujhse,
key miltey nahin ho mujhe meri parchaiyon mein!!!!

TUM :)

Suraj ki pehli kiran ho tum
Mere andhere man ki roshni ho tum
Ek haseen sapna ya hakeekat ho tum
Meri is zindagi ka astitva ho tum

Kabhi milogi mujhse yeh janta hoon main
Tuhje pehchaan jaoonga yeh manta hoon main

Inteezar tera main sada karta rahoonga
Mil jaye tu mujhe yeh roz dua karoonga
Itna karta hoon hain khud par aetbaar
Manunga na main kabhi haar........

Khushi hoon main...

Suraj ki tez dhoop hoon main, chand ki sheetal roshni bhi,
ek hawa ka jhonka hoon aur geeli mitti ki khusboo bhi,
mujhe haasil karnay ki koshish kyon karna,
main tho tumhare rag rag may basta hoon,
par tum nay kabhi mujhe mehsoos hi nahin kiya,
yash kay nashey may itna choor they ki apney dil say mera pata bhi na poocha,
jo tumhare itney paas tha usey doosron may dhoondte rahe,
jo pehle say tumhara tha, usey haasil karney ki koshish karte rahe
ab kahan dhoond paogey tum mujhe, mainey khud ko chupa liya hain,
Apni har ek chahat ko apney dil may daba liya hain