Sunday, June 28, 2009

Badal gaya main :)

Main bahut badal gaya hoon kehte hain sab
har naye andaaz par hairaan hotey hain sab
Poochte hain mujhse, kaun hain badlav ka kaaran
aur haskar karte hain meri purani aadaton ka varnan...

Yeh sab sunkar ek sawaal uththa hain dil may mere
main sach main badal gaya hoon ya sabki aankhon ka dokha hain
Jawaab dhoond raha tha ki, Dil machal kay bola

"dost badal tho tum gaye ho
lagta hain markar phir jee uthey ho
Ek nayi zindagi day di mujhe tumney
kisi kaaran ki zaroorat nahi hain jisey
bas itni si hain guzarish tumsey
kisi ki khatir apney aap ko na badalna
khud ko pehchaan na pao, aisa koi kaam na karna"

1 comment:

  1. dost tum to badal hi gaye ho
    mooche jo nikaal di hein, kisi ke kehne se :P

    ReplyDelete