Thursday, August 27, 2009

A train of thought...

A train of thought leaves the mind,
with hope and faith left behind,
Says Dont fear the pain or the grind,
the castle of my dreams I shall surely find..

Monday, August 24, 2009

Waqt ki meherbaani..

Dost zyaada duur nahin, bas do kadam aagey hain tumse,
teri ek pukaar par haazir honge, itna bharosa rakho humse,
Yeh sochna nahin, ki koi farak hain hummay aur tummay,
yeh tho kambakht waqt ka khel hain, jo meherbaan ho gaya pehle humpay..

Talaash...

In andhero may kabse chala ja raha hoon,
apni parchaiyan bhi nahi dhoond pa raha hoon,
Thi mujhe bas roshni ki ek kiran ki talaash,
par jugnuon say kaam chala raha hoon....

Thursday, August 20, 2009

aapki aur meri kahani..

Hain yeh ek aam aadmi ki kahani,
thodi jaani, thodi pechaani,
zindagi ki jung ladney ki thi jisney thaani,
hain yeh shayad humarey tumharey jeevan ki kahani ...

Parivar nay dekhey they uskey liye kayi sapney,
Usey laga uski dil ki baat jantey they apney...
yehi soch kar aagey badtey rahey uskey kadam,
aur uski icchayen ghut kar marti rahin hardam..

Doosron key sapno ko apna man liya jisney,
kuch karkey dikhana hain yeh thaan liya usney..
Woh janta tha bahut kuch peeche choot raha tha,
kisi ki mohabbat aur doston say naata toot raha tha,
apna seena thok ek wada kar liya tha jisney,
"hamesha jeetna hain mujhey" thaan liya tha usney...

phir aisi lagayi usney mehnat ki chadi,
safalta bhi uski parchai ban hui khadi,
hamesha aagey rehna aadat ban gayi uski,
kyonki haar manna fidrat nahi thi uski...

aisey kayi padhav aaya jeevan may,
jab asafalta gehri chot kar gayi mashtisk may,
Kamzor padh raha tha hausla, toot rahi thi himmat,
na jaaney kya khel, khel rahi thi uski kismat..

aakhir sangharsh uska khatam hua ek din,
katinaiyon bharey safar ki manzil mili jis din,
ab shuru honey wali thi uski sapno ki udaan,
aakhir rang laye they uskey anek balidaan..

aaj aasman may uncha ud raha hain woh,
par saahil par dharti say naata jodey hain woh...

Shayad jo kuch woh chatha tha, sab nahin paya hain usney,
par apney aap say kiya har wada nibhaya hain usney...
Kabhi doosron aur Kabhi khud kay liye jiya hain usney,
Kabhi Dil aur kabhi Dimaag say salah lee hain usney,
Ek hum jaisey albele mastaney ki thi yeh kahani
thodi jaani, thodi pechaani...

Friday, July 31, 2009

The light was red... (First attempt in english)

The light was red,
I got hit on my head,
The daze was broken,
I felt bad to be awoken..

Now when I am wide awake,
"that" feels all so fake,
I will win over this agony,
for I still believe in destiny.....

Wednesday, July 8, 2009

Itni si Khwaish...

Ek sunheri shaam ki hain yeh baat,
Main tha aur meri tanhaee thi mere saath,
Achanak saamney aayi ek apsara,
Boli kya hain tere dil ki khwaish bata..

Thoda ghabrakar, Muskurate huey main bola..
Khwaish itnisi hain is dil ki..

"Andhere ko roshni ki jhalak mil jaye
Kohram ko aman ka paigam mil jaye..

Sooraj ko badalon ki chaon mil jaaye
chand ko sitaron ka saath mil jaye..

Is Gumnaam zindagi ko ek pehchaan mil jaye
In Tanhaiyon may kisi ka saath mil jaye..

Mere khwabon ko hakeekat ka aaina mil jaye
Aur Mujhko jeeney ka ek maksad mil jaye..

In Aansuon ko kisiki palkon ka kinara mil jaye
Aur is Chahat ko kisi kay dil ki panah mil jaye..."

Monday, June 29, 2009

Ek Safar ki Kahani... DoCC :)

Tha woh ek naya shaher, karni thi hamey ek nayi baat,
Dartey they kya kuch haasil kar payangey wahan,
logon kay dilon may apna nishaan chod payangey kahan...

Baarish ki boondon nay kiya humara wahan swagat,
Socha humney, Ishwar ka ashirwaad hain yeh..
Kuch hi dino may hakeekat ka hua ehsaas,
lagney laha ek namumkin sa pahaad hain yeh...

Phir kuch din kay liye bhool kaam, hum mast ho gaye,
Un haseen vadiyon kay aanchal may gum ho gaye,
Baarish may dhuley pahadon ki sawari ki humney,
Thandi hawa kay jhonkon say thodi baat ki humney,
Badalon nay jab galey lagay dharti ko,
hum unmay khel rahe they,
Bhool khud ko is nayi jannat may phir jee rahe they...

Janaat tho vahin raha par hum hosh may aa gaye...
In kuch haseen dino kay baad ek naye josh may aa gaye...
Hum yahan kuch kar sakte hain ehsaas ho gaya humein
Apni kabiliyat par phirsey vishwaas ho gaya humein...

Jo Safar humney chuna tha, kathin tha magar...
Ek doosre par vishwas say tiki rahi manzil par nazar...
Jo hum chahtey they, woh haasil kar liya humney
Ek nayi shuruvaad ka agaaz kar diya humney...

Badlav ka pahiya tez ghoom raha hain ab,
Dua karte hain sab theek ho jayen wahan ab...
Jitna humney unhe diya, ussey kahin zyaada paaya hain,
Unkey Pyaar aur adar ka anmol thofa
apney sar ankon par lagay hain..